Kisi gaon Main ,
ek anpadh aadami tha !
Vo kam ki talash mein इधर-उधर bhatak Raha tha !
Tabhi Achanak se use ek school mein ghanta bajane ka kam Mil jata Hai...
Vah roj subah se School jata vahan ghanti bajata aur Ghar wapas aata !
Kuchh samay duty karne ke bad ek din vahan ke principal ka transfer ho jata hai
Naye principal aate Hain...
Vah sab ki yogyata puchna shuru karte Hain
Last mein jab anpadh aadami ka number aata hai to isase puchte Hain tumhari yogyata kitni hai...
Anpadh aadami bolata hai...
Sahab Main to anpadh hun padha likha nahin hun...
Apprecipal kahate Hain.....
Is school mein anpadhon ka koi Kam nahin Hai, aur use school se nikal Diya jata hai..
Bhai ab to berojgar ho gaya hai pet paalne ke liye kuchh Na kuchh to karna Hi padega !
Uske pass paise bhi nahin the !
Fir usne Jaise taise kuchh paison ka intejaam Kiya !
Aur ghar per samosa banaya tokri mein le jakar School ke samne bechna shuru kar diya!
Uske samose mein itna test tha ki देखते-देखते uska Sara samosa bik jata tha !
Uska testi samosa धीरे-धीरे pure Shahar mein mashhur Ho Gaya !
देखते-देखते usne Shahar mein Kai dukanen khol Li, aur ab vah bahut paise Wala Ho Gaya !
Aur ek din media... Uske pass jaati Hai aur puchti Hai !
Bhai tu to bahut paise Wala ho gaya hai !
Achcha chalo batao tum kitne padhe likhe Ho !
Usne kaha Sahab Main to anpadh hun !
Tab media ne poochha...
Yadi Tum padhe likhe hote to Kya karte !
Are Sahab... Agar Main padha likha hota to kahin ghanta Baja Raha hota ..!!
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें